Dil Lagakar Ham Ye Samjhe, Zindagi Kya Chiz Hai (Female) - दिल लगाकर हम ये समझे, जिंदगी क्या चीज़ है
LYRICS:
dil lagakar ham ye samjhe, zindagi kya chiz hai

ishq kahte hai kise, aur ashiqi kya chiz hai

dil lagakar ham ye samjhe
hay ye rukhsaar ke shole, ye baahen marmari

aapse milkar ye do baaten, samjh me aa gayi
dhup kisika naam hain
aur chaandani kya cheez hain
dil lagakar ham ye samjhe, zindagi kya chiz hai
dil lagakar ham ye samjhe
aapki shokhi ne kya kya, rup dikhlaaye hame
aapki shokhi ne kya kay, rup dikhlaaye hame
aapki aankho ne kya kya jaam pilvaaye hame
hosh kho baithe to jana, bekhudi kya cheez hai
dil lagakar ham ye samjhe, zindagi kya chiz hai
dil lagakar ham ye samjhe
aapki rahon me jabse, hamne rakha hain kadam

hamko ye mahsus hota hain
ki hain manjil pe ham
koi kya jaane mohabbat ki khushi kya cheez hain