SONG: Dil Ka Haal Sune Dilwala, Sidhi Si Baat Na Mirch Masala - दिल का हाल सुने दिल वाला, सीधी सी बात ना मिर्च मसाला

Dil Ka Haal Sune Dilwala, Sidhi Si Baat Na Mirch Masala - दिल का हाल सुने दिल वाला, सीधी सी बात ना मिर्च मसाला

LYRICS:
dil ka haal sune dil wala dil ka haal sune dil wala, sidhi si baat na mirch masala kah ke rahega kahne wala, dil ka haal sune dil wala aji dil ka haal sune dil wala, sidhi si baat na mirch masala kah ke rahega kahne wala, dil ka haal sune dil wala chhote se ghar me garib ka beta, mai bhi hu maan ke nasib ka beta chhote se ghar me garib ka beta, mai bhi hu maan ke nasib ka beta ranj-o-gam bachpan ke saathi, aandhiyo me jali jivan baati bhukh ne hai bade pyaar se paala dil ka haal sune dil wala, sidhi si baat na mirch masala kah ke rahega kahne wala, dil ka haal sune dil wala haay karn kya surat aisi, gaath ke pure chor ke jaisi haay karn kya surat aisi, gaath ke pure chor ke jaisi chalta phirta jaan ke ek din, bina dekhe pahchaan ke ek din baandh ke le gaya police wala dil ka haal sune dil wala, sidhi si baat na mirch masala kah ke rahega kahne wala, dil ka haal sune dil wala budhe daroga ne chashme se dekha budhe daroga ne chashme se dekha aage se dekha pichhe se dekha, upar se dekha niche se dekha bola ye kya kar baithe ghotala, haay ye kya kar baithe ghotala ye to hai thaanedaar ka saala dil ka haal sune dil wala, sidhi si baat na mirch masala kah ke rahega kahne wala, dil ka haal sune dil wala gam se abhi aazad nahi mai, khush magar aabad nahi mai gam se abhi aazad nahi mai, khush magar aabad nahi mai manzil mere paas khadi hai, paanv me lekin bedi padi hai taang deta hai daulat wala dil ka haal sune dil wala, sidhi si baat na mirch masala kah ke rahega kahne wala, dil ka haal sune dil wala sun lo magar ye kisi se na kahna, tinke ka leke sahara na bahna sun lo magar ye kisi se na kahna, tinke ka leke sahara na bahna bin mausam malhaar na gaana, aadhi raat ko mat chillana varna pakad lega police wala dil ka haal sune dil wala, sidhi si baat na mirch masala kah ke rahega kahne wala, dil ka haal sune dil wala