SONG: Dil Hai Loota Hua Jahan - दिल हैं लुटा हुआ जहां

Dil Hai Loota Hua Jahan - दिल हैं लुटा हुआ जहां

LYRICS:
dil hai luta hua jahan raat bhi hai dhua dhua aye meri maut ye bata aise me rah gayi kahan dil hai luta hua jahan ab na kisi ko mujhse pyar ab na kisi ka intzaar ab na kisi ko mujhse pyar ab na kisi ka intzaar dil ki khiza chali gayi meri khushi ki wo bahar khak uda ke chal diya aa, khak uda ke chal diya meri khushi ka karwa dil hai luta hua jahan raat bhi hai dhua dhua aye meri maut ye bata aise me rah gayi kahan dil hai luta hua jahan aye dil-e-bekarar sun bhul ja ab khushi ki dhun aye dil-e-bekarar sun bhul ja ab khushi ki dhun phulo se tera kaam kya kaanto ko chun sake to chun ab na kisi ki aas kar aa, ab na kisi ki aas kar aayega kaun ab yaha dil hai luta hua jahan raat bhi hai dhua dhua aye meri maut ye bata aise me rah gayi kahan dil hai luta hua jahan