SONG: Dhup Men Nikalo Ghataaon Men Nahaa Kar Dekho - धूप में निकलो घटाओं में नहाकर देखो

Dhup Men Nikalo Ghataaon Men Nahaa Kar Dekho - धूप में निकलो घटाओं में नहाकर देखो

LYRICS:
dhup me niklo ghataao me nahaakar dekho dhup me niklo ghataao me nahaakar dekho zindagi kya hai kitaabo ko hataakar dekho zindagi kya hai kitaabo ko hataakar dekho vo sitaara chamakne do yun hi aankho me vo sitaara chamakne do yun hi aankho me kya zaruri hai use jism banaakar dekho kya zaruri hai use jism banaakar dekho pattharo me bhi zubaa hoti hai, dil hote hai pattharo me bhi zubaa hoti hai, dil hote hai apne ghar ke dar-o-divaar sajaakar dekho apne ghar ke dar-o-divaar sajaakar dekho faasala nazaro ka dhokhaa bhi to ho saktaa hai faasala nazaro ka dhokhaa bhi to ho saktaa hai vo mile ya na mile haath badhaakar dekho vo mile ya na mile haath badhaakar dekho dhup me niklo ghataao me nahaakar dekho zindagi kya hai kitaabo ko hataakar dekho