SONG: Dharti Ki Shaan Tu Hai

Dharti Ki Shaan Tu Hai

LYRICS:
dharti ki shaan tu hai manu ki santaan dharti ki shaan tu hai manu ki santaan teri muthhiyon mein band toofaan hai re tere manushy doot tu bada mahaan hai ae ae bhool mat manushy tu bada mahaan hai manushy tu bada mahaan hai ae ae bhool mat manushy tu bada mahaan hai tu jo chaahe parwat pahaadon ko phod de tu jo chaahe nadiyon ke rukh ko bhi mod de tu jo chaahe maati se amrit nichod de tu jo chaahe dharti ko ambar se jod de amar tere pran aan aa aa aa aa amar tere pran mila tujhko vardaan teri aatmaa mein swaym bhagwaan hain re manushy tu bada mahaan hai ae ae bhool mat manushy tu bada mahaan hai nainon mein jwaal teri gati mein bhauchaal teri chhaati mein chhupa mahaakaal hai prithvi ke laal tera himgiri sa bhaal teri bhrakuti mein taandav ka kaal hai dil ko tu jaan aa aa aa aa dil ko tu jaan zara shakti pahchaan teri vaani mein yug ka aahwaan hai re manushy tu bada mahaan hai ae ae bhool mat manushy tu bada mahaan hai dharti ka veer tu hai agni ka veer tu jo chaahe to kaal ko bhi thhaam le paapon ka pralay ruke pashuta ka sheesh jhuke tu jo agar himmat se kaam le mati maan aa aa aa aa mati maan pawan sa tu gatimaan teri chhab se bhi oonchi udaan hai re manushy tu bada mahaan hai ae ae bhool mat manushy tu bada mahaan hai manushy tu bada mahaan hai ae ae bhool mat manushy tu bada mahaan hai