SONG: Dekho Radha Hamari Gori - देखो राधा हमारी गोरी

Dekho Radha Hamari Gori - देखो राधा हमारी गोरी

LYRICS:
dekho radha humaari gori chanda ki jo chakori kishan tera kaala kishan tera kaala kishan tera kaala hai, kishan tera kaala hai jagat ka ujala, jagat ka ujala jagat ka ujala hai radha ke mukh poonm muskaaye tere kishan par amaawas chhayi ja ri tu roop ka bhed kya jaane shyaam ghata bin bijali na bhayi ho jab teri sakhi ka mukh pyara nainva me kala kajarwa kyu dala kajarwa kyu dala, kajarwa kyu dala ja re tu chorta tu hai ghighna lambi teri choti he ja re gorati tu hai moti akal bhi teri moti tu kya jaane lule langde ye makkhan ki maya hai are tabhi matkiya phod phod kar humne bhi makkhan khaya hai ho kaahe phul rahi ho man me kabhi to darpan me roop dekha bhala hai roop dekha bhala, roop dekha bhala, roop dekha bhala hai hai jab rang kala to kala hi dil hai kishan ka kala hi dil hai haay aaj bhi tere gaalo pe kala hi til hai o gori kala hi til hai rang andhere ka humko nahi suhaaye puchho koyal se duja rang naa bhaaye dekh kanhaiyya ki aankhe rashili radha tumhaari pad gayi pili pili nahi ye keshar ka rang hai tere akal ki keel hai dhili karo is kaale rang ki pooja chadhe naa rang duja ye rang jaadu wala hai, ye rang jaadu wala hai ye rang jaadu wala hai, ye rang jaadu wala hai o ye rang jaadu wala hai kanhaiyya tera kala hai mana kanha humara kala hai sabse nirala jagat ka ujala hai, jagat ka ujala jagat ka ujala, jagat ka ujala hai