SONG: Daulat Ke Andhere Me Tera Kho Gya Imaan - दौलत के अँधेरे में तेरा खो गया ईमान

Daulat Ke Andhere Me Tera Kho Gya Imaan - दौलत के अँधेरे में तेरा खो गया ईमान

LYRICS:
daulat ke andhere me tera kho gaya iman tujhko na rahi apne paraye ki bhi pehchan magrur na ho magrur na ho apne mukaddar o nadan allah ki nazro me barabar hai sab insan allah ki nazro me barabar hai sab insan duniya ka ajab rang nazar aane laga hai ek bhai hai jo bhai se takrane laga hai ek beta hai jo ma ko bhi thukrane laga hai afsosh ke insan bana jata hai saitan allah ki nazro me barabar hai sab insan allah ki nazro me barabar hai sab insan zalim ko har ek zulm se baz aana padega luti huyi har chij ko lautana padega insaf ki aawz pe jhuk jana padega kudrat ka ye kanun badalna nahi aasan allah ki nazro me barabar hai sab insan allah ki nazro me barabar hai sab insan ye saz ye mehfil ye tarane na rahenge ye husno mohabbat ke fasane na rahenge jo aaj hai kal tak wo zamane na rahenge mit jayenge ek pal me gunaho ke ye sama allah ki nazro me barabar hai sab insan allah ki nazro me barabar hai sab insan allah ki nazro me barabar hai sab insan