SONG: Chodkar Tere Pyar Ka Daman Ye Bata De Ke Hum Kidhar Jaye - छोड़ कर तेरे प्यार का दामन ये बता दे कि हम किधर जायें

Chodkar Tere Pyar Ka Daman Ye Bata De Ke Hum Kidhar Jaye - छोड़ कर तेरे प्यार का दामन ये बता दे कि हम किधर जायें

LYRICS:
chhod kar tere pyar ka daaman chhod kar tere pyar ka daaman ye bata de ki ham kidhar jaaye hamko dar hai ki teri baaho me hamko dar hai ki teri baaho me ham khushi se na aaj mar jaaye mil gaye aaj qaafile dil ke ham khade hai karib manzil ke muskura kar jo tumne dekh liye mit gaye haske sab gile dil ke kitni pyaari hai ye hasin ghadiya inse kah do yahi thahar jaaye hamko dar hai ki teri baaho me ham khushi se na aaj mar jaaye tere kadmo pe zindagi rakh du apni aankho ki roshani rakh du tu agar khush ho main tere dil me apne dil ki har ik khushi rakh du mere hamdam meri khushi ye hai tu nazar aaye ham jidhar jaaye chhod kar tere pyar ka daaman ye bata de ki ham kidhar jaaye hamko dar hai ki teri baaho me ham khushi se na aaj mar jaaye