SONG: Chauraahe Par - चौराहें पर लुटता चीर

Chauraahe Par - चौराहें पर लुटता चीर

LYRICS:
chaurahe par lutta cheer chaurahe par lutta cheer pyade se pit gaya wajir chalu aakhri chaal ki baaji chhod virakhti rachau main raah kaun si jaau main raah kaun si jaau main sapna janma aur mar gaya madhu ritu mein hi baag jhar gaya sapna janma aur mar gaya madhu ritu mein hi baag jhar gaya tinke bikhare huye batoru ya nav shrishti sajau main raah kaun si jaau main raah kaun si jaau main do din mile udhaar mein ghaate ke vayapar mein do din mile udhaar mein ghaate ke vayapar mein shan shan ka hisab jodu ya punji shesh lutau main rah kaun si jayu main rah kaun si jayu main chaurahe par lutta cheer pyade se pit gaya wajir chalu aakhri chaal ki baaji chhod virakhti rachau main raah kaun si jaau main raah kaun si jaau main