SONG: Chand Ek Beva Ki Chudi Ki Tarah Tuta Hua - चाँद एक बेवा की चूड़ी की तरह टूटा हुआ

Chand Ek Beva Ki Chudi Ki Tarah Tuta Hua - चाँद एक बेवा की चूड़ी की तरह टूटा हुआ

LYRICS:
chaand ek beva ki chudi ki tarah tuta hua har sitaara besahara soch me duba hua gam ke baadal, ik janaaze ki tarah thahre huye sisakiyo ke saaz par kahta hai dil rota hua koi nahi mera is duniya me aashiya barbaad hai aansu bhari mujhe qismat mili hai zindagi nashad hai koi nahi mera is duniya me aashiya barbaad hai ja hava tu rasta le apna, qismat hai meri ji ke tadpana ja hava tu rasta le apna, qismat hai meri ji ke tadpana aayi hai mere gam pe javaani, roti hui ik yaad hai koi nahi mera is duniya me aashiya barbaad hai sukh chuke hai aankho ke jharne, lut liya hame daag-e-jigar ne sukh chuke hai aankho ke jharne, lut liya hame daag-e-jigar ne phul nahi ye zakhm khile hain phul nahi ye zakhm khile hain aasamaan saiyaad hai, aasamaan saiyaad hai koi nahi mera is duniya me aashiya barbaad hai koi nahi mera is duniya me aashiya barbaad hai mausam dukho ka sar par hai chhaaya mujhse juda hai khud mera saaya mausam dukho ka sar par hai chhaaya mujhse juda hai khud mera saaya hum hai akele gam ke hai mele, ruh ki fariyad hai koi nahi mera is duniya me aashiya barbaad hai