SONG: Chalte Chalte In Raaho Per Aisa Bhi Kuch Ho Jaata Hai - चलते चलते इन राहों पर ऐसा भी कुछ हो जाता है

Chalte Chalte In Raaho Per Aisa Bhi Kuch Ho Jaata Hai - चलते चलते इन राहों पर ऐसा भी कुछ हो जाता है

LYRICS:
chalte chalte in raho par aisa bhi kuch ho jata hai koi anchaha mil jata hai aur man chaha kho jata hai chalte chalte in raho par aisa bhi kuch ho jata hai koi anchaha mil jata hai aur man chaha kho jata hai koi khushi alag se jab ho saki na hasil kisi aur ki khushi me hum ho gaye hai shamil koi khushi alag se jab ho saki na hasil kisi aur ki khushi me hum ho gaye hai shamil aise bhi hans lete hai hum aise me bhi dil gaata hai koi anchaha mil jata hai aur man chaha kho jata hai ye jindagi bhi kaisi phulo ka silsila hai majburiyo se haara har ek hausla hai ye jindagi bhi kaisi phulo ka silsila hai majburiyo se haara har ek hausla hai koi dukh me jee leta hai koi sukh me mar jata hai koi anchaha mil jata hai aur man chaha kho jata hai kismat ne jo likha tha paya hai jindagi me kyo dhundhne ko jaaye hum dosh aadmi me kismat ne jo likha tha paya hai jindagi me kyo dhundhne ko jaaye hum dosh aadmi me kya socha karta hai insan aur jane kya ho jata hai koi anchaha mil jata hai aur man chaha kho jata hai chalte chalte in raho par aisa bhi kuch ho jata hai koi anchaha mil jata hai aur man chaha kho jata hai kya socha karta hai insan aur jane kya ho jata hai koi anchaha mil jata hai aur man chaha kho jata hai