SONG: Chacha Nehru Phool Khilegaa - फूल खिलेगा बागों में जब तक गुलाब का प्यारा

Chacha Nehru Phool Khilegaa - फूल खिलेगा बागों में जब तक गुलाब का प्यारा

LYRICS:
phul khilega baagon mein jab tak gulab ka pyara tab tak jinda hai dharti par nehru naam tumhara jab tak hai is jag mein chanda suraj ka ujiyara tab tak jinda hai dharti par chacha naam tumhara humko hain dukh humne kho dala apna humjoli jiske sath diwali thi jiske sang khele holi kaun bada ab hum jaisa banke khilwaad karega pyar karega jhagadega jhuthi takraar karega khelega jag ke aangan mein jab tak bachpan pyara tab tak jinda hai dharti par chacha naam tumhara kaun mangaakar dega humko bhalu hathi chite bachpan ke din apne to bachpan se pahle bite kaun hume chitthi likhega pyar bhari bhasha mein haay tumhe bhi hum likh pate kash aur tum jite jab tak bachche muskayenge yun mirmal jaldhara tab tak jinda hai dharti par chacha naam tumhara wo muskan hamare hriday jitne wali wo gussa jo sheetal hain jaise barkha matwali wo ghudki jo sikhlati hain sabak yaad kar lena wo baate jaise bikhraye phul phul ki dali yaad aayengi jab tak dukh mein degi yaad sahara tab tak jinda hai dharti par chacha naam tumhara phul khilega baagon mein jab tak gulab ka pyara tab tak jinda hai dharti par chacha naam tumhara chale gaye ho lakin lagta hai tum yahi chhupe ho jaise hum bachcho se aankh micholi khel rahe ho bagiyan ke phulon mein bikhari hai muskan tumhari hadiyon ke sang chalte ho prvat ke sath khade ho jab tak baki hai duniya mein jo kuch bhi hain pyara tab tak jinda hai dharti par chacha naam tumhara kabhi na bhulenge hum tumne itna pyar diya hain kabhi na murjhayega tumne jo guljaar diya hain hume tumhari yaadon ki saugandh ke hum bachche bhi yogay banenge uske tumne jo sansaar diya hain jab tak mehnat ke haathon jayega vishv sanwara tab tak jinda hai dharti par chacha naam tumhara hum sachche insan bane hum dost bane viswasi hum chahe jo hum pahle ho achchhe bharatvasi kabhi na ho ab jung zameen par desh rahe sab milkar jung ek hi ho duniya mein bhukh rog aur upkar jab tak bahti hai is duniya mein ganga ki dhara tab tak jinda hai dharti par chacha naam tumhara phul khilega baagon mein jab tak gulab ka pyara tab tak jinda hai dharti par chacha naam tumhara tab tak jinda hai dharti par chacha naam tumhara tab tak jinda hai dharti par chacha naam tumhara