SONG: Brij Ke Nandlala Radha Ke Sanwariya - बृज के नंदलाला राधा के सांवरिया

Brij Ke Nandlala Radha Ke Sanwariya - बृज के नंदलाला राधा के सांवरिया

LYRICS:
brij ke nandlala radha ke sanwariya sabhi dukh dur hoye jab tera naam liya brij ke nandlala radha ke sanwariya sabhi dukh dur hoye jab tera naam liya meera pukare jab girdhar gopala dhal gaya amrit me vish ka bhara pyala kaun mitaye use jise tu rakhe piya sabhi dukh dur huye jab tera naam liya brij ke nandlala radha ke sanwariya jab tere gokul pe aaya dukhkari ek ishare se sab vipada tari mud gaya govardhan tune jit mod diya sabhi dukh dur huye jab tera naam liya brij ke nandlala radha ke sanwariya naino me sham base man me banwari sudh bisraye gayi murli ki dhun pyari man ke madhuban me ras rachaye rasiya sabhi dukh dur huye jab tera naam liya brij ke nandlala radha ke sanwariya sabhi dukh dur hoye jab tera naam liya