SONG: Bhari Mahafil Hai, Ye Afasana Nahin Hai - भरी महफ़िल है ये अफ़साना नहीं है

Bhari Mahafil Hai, Ye Afasana Nahin Hai - भरी महफ़िल है ये अफ़साना नहीं है

LYRICS:
bhari mahfil hai aur ab rang par mahfil bhi aayi hai uthi hai huq bhi dil se to dil hi me dabayi hai magar jab dil dukhaya hai to lab tak baat aayi hai ye afsana nahi aye sunnevalo dil ki baate hai siyahi gam ki hai vaise badi rangin rate hai ye afsana nahi hai hai gustakhi magar kahna hai kuch duniya se mardo se sharifo manchalo mullaho se avaragardo se hai beparda magar taane diye jate hai pardo se ye afsana nahi hai ye jo kotho ki mallika hai ye jo kucho ki rani hai jo padh sakte ho padh lo ye tumhari hi kahani hai samaj-o-kaum ki beabruyi ki nishani hai ye afsana nahi hai jo sach pucho tumhi mardo ne ye kothe sajaye hai hasi bazar tumne apne hatho se lagaye hai tumhari hi badaulat ham bhi is mahfil me aaye hai ye afsana nahi hai tum apni biwiyo ko chhod kar kotho pe jate ho tum apni biwiyo ko chhod kar kotho pe jate ho tum apne ghar ki daulat ko waha jakar lutate ho khushamadi naaz baldari pe tum jyoti bhi khate ho khushamadi naaz baldari pe tum jyoti bhi khate ho ye afsana nahi hai jo samjho thap tabley ki to ye muh par tamache hai jo samjho thap tabley ki to ye muh par tamache hai ye sarangi ke taro par dilo ke taar bajte hai yaha insaniyat khud nachti hai ham nachate hai ye afsana nahi hai arey o zindagi ke thekedaro kuch to sharmao uthakar husn ka baazar apne ghar me le jao arey o zindagi ke thekedaro kuch to sharmao uthakar husn ka baazar apne ghar me le jao sahara do sahara do aur inko ma behen beti kehelwao sahara do sahara do aur inko ma behen beti kehelwao ye afsana nahi hai ye afsana nahi aye sunnevalo dil ki baate hai siyahi gam ki hai vaise badi rangin rate hai ye afsana nahi hai