SONG: Bhaiya Mere Rakhi Ke Bandhan Ko Nibhana (Happy Version) - भैया मेरे, राखी के बंधन को निभाना

Bhaiya Mere Rakhi Ke Bandhan Ko Nibhana (Happy Version) - भैया मेरे, राखी के बंधन को निभाना

LYRICS:
bhaiya mere, raakhi ke bandhan ko nibhana bhaiya mere, chhoti bahan ko na bhulana dekho ye nataa nibhana, nibhana bhaiya mere, raakhi ke bandhan ko nibhana bhaiya mere, chhoti bahan ko na bhulana bhaiya mere ye din ye tyohaar khushi ka, pawan jaise neer nadi ka bhai ke ujle maathe pe, bahan lagaye mangal tika jhume ye sawan suhana, suhanaa bhaiya mere bhaiya mere, raakhi ke bandhan ko nibhana bhaiya mere, chhoti bahan ko na bhulana bhaiya mere baandh ke humne resham dori, tum se wo ummed hain jodi naajuk hain jo saans ke jaisi, par jivan bhar jaye na todi jane ye sara zamana, zamana bhaiya mere bhaiya mere, raakhi ke bandhan ko nibhana bhaiya mere, chhoti bahan ko na bhulana bhaiya mere shayad wo sawan bhi aaye, jo bahna ka rang na laye bahan paraye desh basi ho, agar wo tum tak pahunch na paye yaad ka deepak jalana, jalana bhaiya mere bhaiya mere, raakhi ke bandhan ko nibhana bhaiya mere, chhoti bahan ko na bhulana bhaiya mere