SONG: Bhagwan Ne Janam Diya Manav Ko - भगवान् ने जनम दिया मानव को

Bhagwan Ne Janam Diya Manav Ko - भगवान् ने जनम दिया मानव को

LYRICS:
bhagwaan ne janam diya manav ko aur shakti ka daan diya shakti badha kar manav ne khud me paida abhiman kiya ek din aaya yaha nepoliyan dhaak se jiska jagat tharra utha ek din aaya sikndar garjta gunjta gata gagan ko chirta yaad hai ek ladka kya tufaan tha jiske pahale ? ke dam kiya jis abhiman karan nar ne prbhu banne ka jatan kiya bade bade tana shaho ka is abhiman n epatan kiya ye to hain wo desh ke jinko shakti par abhiman ab dekho bharat ke jisko bhakti par hi man hain bharat bhumi mahan, shnto ki hain khan hinsa ke agyan andhero me thi jab duniya soti mahveer swami soti le saty ahinsa ki jyoti om namha ari hantanam ahinsa parmo dharma ahinsa parmo dharma hinsak nar pashuo se jab tha bhara huaa sansaar daya murti bhagwan buddh ne liya yai avtar buddham sharan gachhami bhum bhum gachhami sangam sharan gachhami das bani jab sabki atama mita aatm samman prkat huye bapu mahatma gandhi ban bhagwaan raghupati raghav raja ram patitpavan sita ram ishwar allah tero naam sabko sanmat de bhagwan raghupati raghav raja ram patitpavan sita ram ye jhanki to dekh chuke ab kuchh yug pichhe laut chalo sant sheromani tukaram ki katha suno aur phulo phalo