SONG: Bhagwan Ek Insan Ki Sunata Hu Kahani - भगवान एक इंसा की सुनाता हूँ कहानी

Bhagwan Ek Insan Ki Sunata Hu Kahani - भगवान एक इंसा की सुनाता हूँ कहानी

LYRICS:
bhagwan ek insan ki sunata hu kahani ashqo ki jabani hai, kuch aaho ki jabani ashqo ki jabani hai, kuch aaho ki jabani itni hi ummido se, sajai hai duniya mai khush tha ke khud maine banai hai ye dunia lekin teri duniya ne, jala di meri duniya yaad aate hai wo din to sulagta hai kaleja thamta nahi aaho ka dhua sine ke andar rukti nahi roke se, in ashqo ki rawani bhagwan ek insan ki sunata hu kahani ujdi hui basti ka, nisha tak nahi milta wo aag lagai, ke dhua tak nahi milta har geet khushi ka hai, sisakti hui fariyad sine se lagaye huye firta hu bas ek yaad hotho pe kuch aahe hai to aankho me kuch aansu le deke yahi rah gayi ek sari nishani bhagwan ek insan ki sunata hu kahani bhagwan mujhe dekh ke mai hak pe lada hu sacchai ka deepak liye aandhi me khada hu andhiyaro se imaan ki baate na chhupengi thak jayega raahi kabhi raahe na thakengi sach bol, kahi dil tera patthar to nahi hai chupchap jo sunta hai tu insan ki kahani ashqo ki jabani hai, kuch aaho ki jabani bhagwan ek insan ki sunata hu kahani ashqo ki jabani hai, kuch aaho ki jabani