SONG: Banegi Aashaa Ik Din, Kaahe Ko Roye (Safal Hogi Teri Aradhana) - बनेगी आशा इक दिन, काहे को रोये (सफल होगी तेरी अराधना)

Banegi Aashaa Ik Din, Kaahe Ko Roye (Safal Hogi Teri Aradhana) - बनेगी आशा इक दिन, काहे को रोये (सफल होगी तेरी अराधना)

LYRICS:
banegi asha ik din teri ye nirasha kaahe ko roye chahe jo hoye safal hogi teri aradhna kaahe ko roye kaahe ko roye chahe jo hoye safal hogi teri aradhna kaahe ko roye diya tute to hai maati jale to ye jyoti bane diya tute to hai maati jale to ye jyoti bane bahe aansu to hai pani ruke to ye moti bane ye moti ankho ki punji hai ye na khoye kaahe ko roye chahe jo hoye safal hogi teri aradhna kaahe ko roye sama jaye isme tufaan jiya tera sagar samaan sama jaye isme tufaan jiya tera sagar samaan nazar teri kaahe naadan chhalak gayi gaagar samaan jane kyo tune yu asuvan se nain bhigoye kaahe ko roye chahe jo hoye safal hogi teri aradhna kaahe ko roye kahi pe hai dukh ki chhaya kahi pe hai khushiyo ki dhup kahi pe hai dukh ki chhaya kahi pe hai khushiyo ki dhup bura bhala jaisa bhi hai yahi to hai bagiya ka roop phulo se kanto se mali ne haar piroye kaahe ko roye chahe jo hoye safal hogi teri aradhna safal hogi teri aradhna kaahe ko roye kaahe ko roye kaahe ko roye