SONG: Badlaa Badlaa - बदला बदला

Badlaa Badlaa - बदला बदला

LYRICS:
aa... aa... na badla main na badla woh na badla tu... agar kuch badla hai to sirf kambakht ye waqt hai badla pehle tha kabooter ab twitter pehle thi book ab hai facebook pehle tha telegram ab hai instagram pehle thi jaadu ki jhappi ab hai video call pe <3* pappi yehi sochkar pichla aur agla maine gaane ka hook rakh diya... badla badla badla badla badla badla... tu bata raincoat ke langot thakur ko gabbar se lena tha kya baahubali ko bhallal dev se lena tha kya osama ko obama se lena tha kya karan arjun ki maa ko rana se lena tha kya badla badla badla badla badla badla... us ke election ke baad donald trump white house mein aaya toh sabne bola eh ke hoya bhaya naam se donald trump aur harkat se donald duck nazar aaya toh maine kaha woh donald duck hi hai usne apna naam... badla badla badla badla badla badla... sone ke liye gadla gadla bajane ke liye tabla tabla dushman ke liye hamla hamla aur wig ke liye takla takla aalu ke liye ragda ragda aur intekaam ke liye... badla badla badla badla badla badla...