SONG: Badal Rahi Zameen Badal Raha Aasman - बदल रही हैं जमीं बदल रहा हैं आसमां

Badal Rahi Zameen Badal Raha Aasman - बदल रही हैं जमीं बदल रहा हैं आसमां

LYRICS:
badal rahi hain jamee, badal raha hain aasma badal rahi hawaye, aur badal raha jahaa bahno tumhare samne, tedha sawal hain manushy ke bhavisy ka, tumhe khayal hain ghunghat nikal ke jo, tum yu sunghti rahi kajal nayan me dal, phul sunghti rahi nylon ki sariyo me, tan ubharti rahi fashion pared me, umar gujarti rahi mit jayega ye mulk, aur ye jyotiya tamaam jo tum na tham loge aaj waqt ki lagam bahno tumhare kandhe pe, gajab ka bhaar hain svdharm ki svdesh ki, tumhe pukar hain jago bhavishy ki matao jago dharti ko sitao jago puran aur geetao jago mardo ke faisalo ka to, vahi purana dhang hain dasi banakar hamko, rakhna chahte hain sang aadat purani mardo ki kabhi na jayegi tahjeeb inki hain, inhe yahi sikhayegi bas hamse to inhe, rangeela pyaar chahiye kuchh puchhne ka bhi, nahi adhikar chahiye parda hatao dharm ka, ye sharm chhod do aurat pe jo sitam kare, wo dharm chhod do mardo ke karnamo ke hain, unke rang dhang mardo ke haatho se sada hi hote aaye jung ye jung ab na ho na, julmo ka kahi ho jor bas aaj apane haath me lo inki bagdor jago shanti ki avtai jago shasan ki adhikari jago ghar ghar ki sannari jago vigyan ka inhe hua bada guman hain mana ki chandr lok me gaya vimaan hain atom banane waalo ko na itana dhayan hian atom hi par khada hua, inka makan hain rocket banake samjhte tarakki ho gyai insaniyat ki neev aaj pakki ho gayi din raat jhuthe khwab me hi jhulte hain ye hona kya chahiye wo baat bhulte hain ye apani grihasti chhod jane ghumte kidhar saare jaha ka bas inhi ko hain laga fikar taakat batorne ko hain inhe bada nasha is khinch taan me na ho kabhi durdasha jago he gyan ki balao jago vijayi jai malao jago jauhar ki jwalao jago