SONG: Bachchon Tum Taqadir Ho Kal Ke Hindustaan Ki - बच्चों तुम तक़दीर हो कल के हिन्दुस्तान की

Bachchon Tum Taqadir Ho Kal Ke Hindustaan Ki - बच्चों तुम तक़दीर हो कल के हिन्दुस्तान की

LYRICS:
bachho tum taqadir ho kal ke hindustaan ki baapu ke vardaan ki neharu ke armaan ki bachho tum taqadir ho kal ke hindustaan ki baapu ke vardaan ki neharu ke armaan ki achcho tum taqadir ho aaj ke tute khandaharo par tum kal kaa desh basaoge jo ham logo se na huaa vo tum kar ke dikhlaoge tum nanhi buniyaade ho, tum nanhi buniyaade ho duniyaa ke naye vidhaan ki bachho tum taqadir ho din-dharam ke naam pe koi bij phut kaa boye naa jo sadiyo ke baad mili hai vo aazadi khoye naa har mazahab se unchi hai, har mazahab se unchi hai kimat insaani jaan ki bachho tum taqadir ho phir koi jaichand na ubhare phir koi jaafar na uthe gairo kaa dil khush karne ko apno par khazar na uthe dhan-daulat ke laalach me, dhan-daulat ke laalach me tauhin na ho imaan ki bachho tum taqadir ho naari ko is desh ne devi kah kar daasi jana hai jisko kuchh adhikaar na ho vo ghar ki raani mana hai tum aisa aadar mat lena, tum aisa aadar mat lena aad ho jo apmaan ki bachho tum taqadir ho rah na sake ab is duniyaa me yug saramayadari kaa tumako jhandaa laharana hai mehnat ki sardaari ka tum chaaho to, tum chaaho to badal ke rakh do kismat har insaan ki bachho tum taqadir ho kal ke hindustaan ki baapu ke vardaan ki neharu ke armaan ki bachho tum taqadir ho