SONG: Babul Ka Ghar (Sad)

Babul Ka Ghar (Sad)

LYRICS:
babul ka yeh ghar behna kuch din ka thikana hain banake dulhan ek din tujhe piya ghar jaana hain baapu tere bagiya ki main tho ek kali hoon re ho baapu tere bagiya ki main tho ek kali hoon re chod teri bagiya muje ghar piya ka sajana hain kyun chod teri bagiya muje ghar piya ka sajana hain beti ghar babul ke kissi aur ki amanat hain beti ghar babul ke kissi aur ki amanat hain dastoor duniya ka hum sab ko nibhana hain maiya tere anchal ki main to ek gudiya re maiya tere anchal ki main to ek gudiya re tune mujhe janam diya tera ghar kyun begana hain maiya tune mujhe janam diya tera ghar kyun begana hain maiya pe kya beet rahi behna tu ye kya jaane maiya pe kya beet rahi behna tu ye kya jaane kaleje ke tukde ko roh roh ke bhulana hain bhaiya tere angana ki main kaise chidiya re ho bhaiya tere angana ki main kaise chidiya re raat bhar besara hain subha udd jaana hain raat bhar besara hain subha udd jaana hain yaade tere bachpan ki ham sab ko satayengi yaade tere bachpan ki ham sab ko satayengi phir bhi teri doli ko kaandha to lagana hai bahena teri doli ko kaandha to lagana hai