SONG: Assi Baras Ka Budha Baba - अस्सी बरस का बूढा बाबा करने चला है आज लगन

Assi Baras Ka Budha Baba - अस्सी बरस का बूढा बाबा करने चला है आज लगन

LYRICS:
assi baras ka buddha baba karne chala hai aaj lagan maut ke panje se bachne ki byahane chala hai nai dulhan assi baras ka budha baalo me kaali syahi lagaaye aji vastro se wo ang chupaye dagmag dagmag naad hilaaye thumak thumak kar paaw badhaye maut ki rani khadi pukar kya man me ho raha magan assi baras ka buddha baba karne chala hai aaj lagan assi baras ka budha paad padoshi kahe deewana aji budhe ka kuch nahin thikana ladki ke ladke aa bole byahane chale bhai nani nana ladko ke ladke bole budhe baba ko phir aaya bachpan assi baras ka buddha baba karne chala hai aaj lagan assi baras ka budha wo kas ke kamar tyaar hua jhat ghode pe sawar hua bent lagi ghoda bidka budhe ka beda paar hua shadi ke taraane band hue shadi ke taraane shadi ke taraane band hue chotarfa fail gaya matam assi baras ka buddha baba karne chala tha naya lagan assi baras ka budha chaudi se ban gai chita aur jame se ban gaya kafan aur pyjaame ka ban gaya kafan bandh bundhane chale barati aur ladke kare sab kirya karam sage sambhandhi khaye laddu sage sambhandhi sage sambhandhi khaye laddu sabki dur hui uljhan assi baras ka buddha baba karne chala tha naya lagan assi baras ka budha ladki ka le naam kiya tha maat pita ne lekar dhan aji maat pita ne lekar dhan budhe ki sun kar ke mratyu wo bhi manane lage jashan kar di jawan se shadi kar di jawan se shadi uski ladki ka khul gya karm dhan ke lobhi socho samjho paiso per mat becho dharm aji paiso per mat becho dharm garib gaaye se kanya par kassai ka mat karo karam apna jeewan maran sudharo apna jeewan maran sudharo baar baar kehte hai hum assi baras ka buddha baba karne chala tha naya lagan assi baras ka budha