SONG: Are Chhote Aur Bade Kaa, Insaaf Kahaan Kaa Hai - अरे छोटे और बड़े का, इन्साफ कहाँ का है

Are Chhote Aur Bade Kaa, Insaaf Kahaan Kaa Hai - अरे छोटे और बड़े का, इन्साफ कहाँ का है

LYRICS:
are chhote aur bade ka ab to hua purana qissa are duniya ki jaagir hai sabaka ek baraabar hissaa ek padosi raat ko soye aur dusara roye to insaaf kahan ka hai ye insaaf kahan ka hain ye insaaf kahan ka hain are kaho agar insaan kisi ki raah me kaante boye to insaaf kahan ka hain ye insaaf kahan ka hain ye insaaf kahan ka hain banaya maalik ne sabke liye hain chaand sitaaro ko to phir kyaa haq hai ha to phir kya haq hai bande ko kare takasim baharo ko kare takasim baharo ko sab ke baag bagiche par jab ek kaa kabza hoye to insaaf kahaan kaa hain ye insaaf kahaan kaa hain ye insaaf kahaan kaa hain bana hai shah khazane ka ye hai insaan ki nadani bataao kitana kha lega bataao kitana kha lega ye dana aur hawa paani ye dana aur hawa paani are paise jaisi chiz ki khaatir, koi sharafat khoye to insaaf kahaan kaa hain ye insaaf kahaan kaa hain ye insaaf kahaan kaa hain sabhi ek daal ke panchhi hain sabhi kaa ek thikaanaa hai lagao ek sath lagao ek sath nara, ki ye janta ka zamana hai ye janta kaa zamana hai koi kisi ka beej chura kar apani kheti boye to insaaf kahaan kaa hain ye insaaf kahaan kaa hain ye insaaf kahaan kaa hain ek padosi raat ko soye aur dusraa roye to insaaf kahaan kaa hai ye insaaf kahaan kaa hain ye insaaf kahaan kaa hain