SONG: Apne Aap Raaton Mein Chilmane Sarakti Hain - अपने आप रातों में चिलमने सरकती हैं

Apne Aap Raaton Mein Chilmane Sarakti Hain - अपने आप रातों में चिलमने सरकती हैं

LYRICS:
apne aap raaton me chilmane sarkti hain chaunkte hain darwaje sidhiya dhadakti hain apne aap apne aap ek ajnabi yaad aa rahi hain kam kam si jaise dil ke pardo par gir rahi ho shabnam si bin kisi ki yad aaye dil ke taat hilte hain bin kisi ke khankaye chudiya khanakti hain apne aap apne aap koi pahle din jaise ghar kisi ke jaata ho jaise khud musafir ko rasta bulata ho paav jane kis janib be uthaaye uthte hain aur chham chhama chham chham payale chhankti hain apne aap apne aap rato me jane kun balo me ungliya pirota hain khelta hai pani se tan badan bhigota hain jane kiske hatho se gagari chhalkti hain jane kiske baho se bijliya lapakti hain apne aap apne aap