SONG: Apano Ke Sitam Ham Se Bataae Nahin Jaate - अपनों के सितम हम से बताए नहीं जाते

Apano Ke Sitam Ham Se Bataae Nahin Jaate - अपनों के सितम हम से बताए नहीं जाते

LYRICS:
apno ke sitam ham se bataae nahi jaate ye haadase vo hai jo sunaae nahi jaate kuchh kam hi talluk hai muhabbat kaa junun se diwaane to hote hai banaae nahi jaate ik umr ki koshish se bhulaa di hai teri yaad lekin abhi tak yaad ke saaye nahi jaate pyaalo me ho zaharaab ki kuchh aur ho 'faakir' ab hotho se waapas to ye laae nahi jaate