SONG: Apani Kaho Kuchh Meri Suno, Kyaa Dil Kaa Lagaanaa Bhul Gae - अपनी कहो कुछ मेरी सुनो, क्या दिल का लगाना भूल गये

Apani Kaho Kuchh Meri Suno, Kyaa Dil Kaa Lagaanaa Bhul Gae - अपनी कहो कुछ मेरी सुनो, क्या दिल का लगाना भूल गये

LYRICS:
apani kaho kuchh meri suno kya dil ka lagana bhul gaye kya bhul gaye rone ki adat aisi padi hansne ka tarana bhul gaye han bhul gae kali rate bit gayi phir chandani rate ayi hai phir chandani rate ayi hai dil me nahi ujiyala mere gam ki ghatae chhai hai gam ki ghatae chhai hai prit ke vade yad karo kya prit nibhana bhul gaye apni kaho kuchh meri suno kya dil ka lagana bhul gaye bhula hua hai rah musafir bichhda hua hai mazil se bichhda hua hai manzil se khoye hue raste ka pata tum puchh lo kud apane dil se tum puchh lo kud apane dil se chalte chalte aise thake manzil ka thikana bhul gaye ha bhul gaye apni kaho kuchh meri suno kya dil ka lagana bhul gaye nazdik aao nazdeek aao yah mausam nahi phir ane ka yah mausam nahi phir ane ka nazdik shama ke jane se kya hal hua parvane ka kya hal hua parvane ka mitne ka fasana yad raha jalne ka fasana bhul gae kya bhul gaye apni kaho kuchh meri suno kya dil ka lagana bhul gae kya bhul gaye