SONG: Angdai Per Angadi Leti Hai Raat - अंगड़ाई पर अंगड़ाई, लेती हैं रात जुदाई की

Angdai Per Angadi Leti Hai Raat - अंगड़ाई पर अंगड़ाई, लेती हैं रात जुदाई की

LYRICS:
angdai par angdai, leti hai raat judai ki angdai par angdai, leti hai raat judai ki tum kya samjho, tum kya jano baat meri tanhayi ki kaun siyahi ghol raha tha waqt ke behte dariya me waqt ke behte dariya me maine aankh jhuki dekhi hai aaj kisi harjai ki tum kya samjho, tum kya jano baat meri tanhayi ki wasl ki raat na jane kyu israar tha unko jane par israar tha unko jane par waqt se pehle dub gaye taaro ne badi danai ki tum kya samjho, tum kya jano baat meri tanhayi ki udte udte aas ka panchi door ufaq me doob gaya door ufaq me doob gaya rote rote baith gayi aawaz kisi saudai ki angdai par angdai, leti hai raat judai ki tum kya samjho, tum kya jano baat meri tanhayi ki