SONG: Ae Nargise Mastana - ऐ नरगिसे मस्ताना

Ae Nargise Mastana - ऐ नरगिसे मस्ताना

LYRICS:
ae nargise mastana, bas itni shikayat hai bas itni shikayat hai samjha hame begana, bas itni shikayat hai bas itni shikayat hai, ae nargise mastana har raah par katraye, har mod par ghabraye muh pher liya hai tumne, ham jab bhi najar aaye muh pher liya hai tumne, ham jab bhi najar aaye o humko nahi pehchana, bas itni shikayat hai bas itni shikayat hai, ae nargise mastana ho jaate ho marham bhi, ban jaate ho hamdam bhi ae sakhiye maikhana, shola bhi ho shabnam bhi
ae sakhiye maikhana, shola bhi ho shabnam bhi o khali mera paimana, bas itni shikayat hai bas itni shikayat hai, ae nargise mastana har rang kayamat hai, har dang shararat hai dil todke chal dena, ye husn ki aadat hai dil todke chal dena, ye husn ki aadat hai o aata nahi behlaana, bas itni shikayat hai bas itni shikayat hai ae nargise mastana, bas itni shikayat hai bas itni shikayat hai samjha hame begana, bas itni shikayat hai bas itni shikayat hai, ae nargise mastana