SONG: Ae Kale Badal Bol - ऐ काले बादल बोल

Ae Kale Badal Bol - ऐ काले बादल बोल

LYRICS:
ae kale badal bol ae kale badal bol tu kyu itrata hai tu kyu itrata hai ye piya ke ghar se aaj ye piya ke ghar se aaj kuch pikar aata hai ae kale badal bol ae kale badal bol ye chaal teri matwali ye chaal teri matwali jaise phulo ki dali bhar bhar ker madh ki pyali bhar bhar ker madh ki pyali tu kyu tarsata hai ye piya ke ghar se aaj kuch pikar aata hai ae kale badal bol ae kale badal bol kaliyo ne li angdai kaliyo ne li angdai bulbul ne taan lagai ye mausam sajan ki ye mausam sajan ki kyu yaad dilata hai ye piya ke ghar se aaj kuch pikar aata hai ae kale badal bol ae kale badal bol shayad sajan ne bulaya shayad sajan ne bulaya sawan lene ko aaya sawan lene ko aaya jara chupke chupake chal o zara chupke chupake chal kyo dhol bajaata hai ye piya ke ghar se aaj kuch pikar aata hai ae kale badal bol ae kale badal bol