SONG: Ae Guncha Dahan - ऐ गुंचा दहन

Ae Guncha Dahan - ऐ गुंचा दहन

LYRICS:
aye ghuncha dahan bekas dulha aye seam badan bekas dulha mujre ke liye aayi haye uttho naashaad dulhan bekas dulha duniya se nayi ye shaadi hai dono he taraf barbaadi hai shabbir ki beti bewah dulhan aur ibne hassan bekas dulha haye khowf mujhe naaraaz na ho marzi hai tumhaari kya bolo main haath mein ab kangna rakhu ya rakhu rasan bekas dulha humnaam hu main bhi daadi ki haye tumko qasm is shaadi ki banwaado mujhe bhi rone ko ek baithul hazan bekas dulha ye beqabri mujhse qasim chilthey hai mere paonchey qasim khulwa do ke uljhi jaati haye kangne mein rasan bekas dulha