SONG: Abb Yad Na Kar - अब याद ना कर

Abb Yad Na Kar - अब याद ना कर

LYRICS:
ab yad na kar bhul ja ae dil wo fasana wo pyar ki ghadiya wo mohabbat ka zamana ab yaad na kar kyo yad tujhe aati hai beeti huyi baate tu bhul jaa tu bhul ja wo pyar ke din pyar ki raate ab tut chuka hai woh tera khwab suhana wo pyar ki ghadiya wo mohabbat ka zamana abb yaad na kar ae jhumti lehrati hui mast hawao ae pyare najaro, rangin fizaao tum jake unhe aaj mera haal sunao tum jake unhe aaj mera haal sunao keh do ke mera dil hai tumhara hi diwana
keh do ke mera dil hai tumhara hi diwana hai pyar ki ghadiya hai mohabbat ka zamana aati hain mere kano me ye kiski sadaye tum dil se khud hi puch lo hum kyo ye bataye yaad aane laga, yaad aane laga yad aane laga, phir mujhe wo bhula fasana wo pyar ki ghadiya hai mohabbat ka zamana wo pyar ki ghadiya, pyar ki ghadiya aa a ki ab is dard bhare dil ko bhulaye armano ke gulashan me naye phool khilaye hum tere hain, dil tera hai ye bhul na jana bhul na jana hum tere hain, dil tera hai ye bhul na jana bhul na jana, ye bhul na jana