SONG: Aayi Ajal Ae Jindagi - आई अजल ऐ ज़िन्दगी

Aayi Ajal Ae Jindagi - आई अजल ऐ ज़िन्दगी

LYRICS:
ha, aayi ajal ai jindagi gam ka jamana tal gaya ab kya girengi bijaliya jab aashiya hi jal gaya aa o shab-e-gam aaye ja sare jaha par chhaye ja ab tu hi tu rah jayegi ab kal na haragij aayegi wo din jo dushman tha tera wo jindagi ka din mera wo din hamesha ke liye haa din wahi din bhar gaya gam ka jamana tal gaya
iss umra ka awwalpana iss umra ka aakhirpana ek jhuth ka darbaar hai baatilpana jaahilpana ye jindagi kuchh bhi nahi ye jindagi kuchh bhi nahi natak ka jhutha khel hai jab tak chala so chal gaya gam ka jamana tal gaya ha, aayi ajal ai jindagi gam ka jamana tal gaya ab kya girengi bijaliya jab aashiya hi jal gaya