Aayi Aayi Raat Suhani - I - आयी आयी रात सुहानी
LYRICS:
aayi aayi raat suhani, sun le khushi ki kahaani
sun le khushi ki kahani
nind ki pariya aayi sulaane nind ki pariya aayi sulaane
phulo ki doli me jhula jhulane, jhula jhulane

naajo ki pali o meri jaani
sun le khushi ki kahani sun le khushi ki kahani
aayi aayi raat suhani, sun le khushi ki kahaani
sun le khushi ki kahani
chand tera anmol khilauna chand tera anmol khilauna
pyaar ki godi teraa bichhauna, tera bichhauna

rup nagar ki chhoti si raani
sun le khushi ki kahani sun le khushi ki kahani
aayi aayi raat suhani, sun le khushi ki kahaani
sun le khushi ki kahani
pure ho tere araman sare pure ho tere araman sare
itani umar ho jitane hain taare, jitane hain tare

har roj aaye yeh shadamani, sun le khushi ki kahani