SONG: Aao Sakhiyo Tumhara Dil - आओ सखियों तुम्हारा दिल

Aao Sakhiyo Tumhara Dil - आओ सखियों तुम्हारा दिल

LYRICS:
o meena o reena ae reena aao na chali aao na are aati hu o sheela o reela o meena nayi dulhaniya se, rasiya ki batiya sunenge sunao na sunao na sunati hu sunati hu sunati hu aao sakhiyo tumhara dil bahlau accha, ha ji aao sakhiyo tumhara dil bahlau apne byah ki, baat sunau, sunao na pahli baar jab gayi sasural lamba sa ghunghat dhimi si chaal pahli baar jab gayi sasural lamba sa ghunghat dhimi si chaal sara gaanv dene aaya badahi badahi ho badahi sara gaanv dene aaya badahi kahne laga ke bahu sundar aayi khila de mithai, mithai kis uljhan me, accha kis uljhan me pad gayi raat hoye hoye kis uljhan me pad gayi raat sab sakhiyo ne chhoda sath phir kya hua phir le gayi mujhe badi nand dhakka diya aur kamra band aao sakhiyo tumhara dil bahlau apne byah ki baat sunau byah ki nahi band kamre ki baat sunao sunati hu, batao na, batati hu main thi akeli meri kaanpi jaan main thi akeli meri kaanpi jaan maine kaha kya hoga bhagwan phir hua darwaza tak tak tak karne laga dil dhak dhak dhak dhak dhak dhak dhak dar dar ke darwaza khola aate hi wo mujhse bola kya bola, bola hoga o meri naino ki nina mushkil hai tere bina jeena are ho gayi pasina pasina jitna ghunghat karu main niche oye hoye jitna ghunghat karu main niche utna hi wo upar khinche are jija ji pad gaye honge picche khub huyi phir khincha taani wo bhi na mana main bhi na mani wo bhi na mana main bhi na mani o kitni hai pyari ghunghat usne utha liya aankho ko maine jhuka diya andar se to dil ne mana upar se karti thi na na na na, ha ha gale me di jab baahe daal haye gale me di jab baahe daal aage na puchho mera haal aage na puchho mera haal badi natkhat hai ye chhuimuyi asli baat ko gol kar gayi mui asli baat ko gol kar gayi bolo na nahi nahi ari bolo na, kaise bolu aise badhi dil ki dhadkan roke ruke na ye dhadkan dil ko thama hatho se diya bujh gaya saanso se phir kya hua diya bujha aur andhera ho gaya andhera ho gaya andhera ho gaya andhera to hua par aage kya kya hua aage kya hona tha diya bujha aur andhera ho gaya aankh khuli to savera ho gaya main uski ho gayi wo mera ho gaya