SONG: Aansu Nahi Bahana Tu Shahid Ki Hai Maa - आँसू नहीं बहाना तू शहीद की है माँ

Aansu Nahi Bahana Tu Shahid Ki Hai Maa - आँसू नहीं बहाना तू शहीद की है माँ

LYRICS:
aasu nahi bahana tu shahid ki hai maa tu shahid ki hai maa tere dudh ka jo rin tha deke lahu chukaya khush ho ke lal tera bharat ke kam aaya rokar bhi muskurana tu shahid ki hai maa tu shahid ki hai maa koi maa jo tujhko dekhe aasu bahate se wo apne dil ka tukda bhejegi ran me kaise muskake dil badhana tu shahid ki hai maa tu shahid ki hai maa marna to hai sabhi ko dunia me bari bari ye maut wo hai mata jo hai jindagi se pyari gaurav se sar uthana tu shahid ki hai maa tu shahid ki hai maa tere dudh ka jo rin tha deke lahu chukaya khush ho ke lal tera bharat ke kam aaya rokar bhi muskurana tu shahid ki hai maa tu shahid ki hai maa