SONG: Aankho Me Sama Jaao, Is Dil Me Raha Karna - आँखों में समा जाओ, इस दिल में रहा करना

Aankho Me Sama Jaao, Is Dil Me Raha Karna - आँखों में समा जाओ, इस दिल में रहा करना

LYRICS:
aankho me sama jaao, is dil me raha karna aankho me sama jaao, is dil me raha karna taaro me hansa karna, phulo me khila karna aankho me sama jaao, is dil me raha karna jab se tumhe dekha hai, jab se tumhe paaya hai kuchh hosh nahi mujhko, ek nasha sa chhaaya hai ab baat jo kahni ho, nazro se ada karna aankho me sama jaao, is dil me raha karna ae kaash dhadakta dil kuchh der thahar jaaye ye raat mohabbat ki yunhi na guzar jaaye ae kaash dhadakta dil kuchh der thahar jaaye ye raat mohabbat ki yunhi na guzar jaaye baaki abhi tum par ye jaan fida karna aankho me sama jaao, is dil me raha karna kismat na dikhaaye ab ghadiya hame furkat ki har raat yunhi chamake, taqadir mohabbat ki kismat na dikhaaye ab ghadiya hame furkat ki har raat yunhi chamake, taqadir mohabbat ki ae chaand sitaaro tum miljul ke dua karna aankho me sama jaao, is dil me raha karna aankho me sama jaao