SONG: Aankh Se Door Na Ho - आँख से दूर ना हो

Aankh Se Door Na Ho - आँख से दूर ना हो

LYRICS:
aankh se door na ho dil se utar jayega aankh se door na ho dil se utar jayega waqt ka kya hai guzarta hai guzar jayega aankh se door na ho dil se utar jayega itna manoos na ho khilwat-e-gham se apni itna manoos na ho khilwat-e-gham se apni tu kabhi khud ko bhi dekhega to dar jayega waqt ka kya hai guzarta hai guzar jayega aankh se door na ho dil se utar jayega tum sar-e-raah-e-wafa dekhte reh jaoge tum sar-e-raah-e-wafa dekhte reh jaoge aur woh baam-e-rifaqat se utar jayega waqt ka kya hai guzarta hai guzar jayega aankh se door na ho dil se utar jayega zindagi teri ata hai to yeh jaane wala zindagi teri ata hai to yeh jaane wala teri bakhshish teri dahleez pe dhar jayega waqt ka kya hai guzarta hai guzar jayega aankh se door na ho dil se utar jayega