SONG: Aaj Ruthe Huye Sajan Ko Bahut Yaad Kiya - आज रूठे हुये साजन को बहुत याद किया

Aaj Ruthe Huye Sajan Ko Bahut Yaad Kiya - आज रूठे हुये साजन को बहुत याद किया

LYRICS:
aaj ruthe huye sajan ko bahut yaad kiya apne ujade huye gulshan ko bahut yaad kiya jab kabhi gardish-e-takadir ne ghera hai hame gesu-e-yaar ki ulajhan ko bahut yaad kiya jiske maathe pe nayi subaho ka jhummar hoga hamne us waqt ki dulhan ko bahut yaad kiya aaj tute huye sapno ki bahut yaad aayi aaj bite huye saawan ko bahut yaad kiya ham sar-e-tur bhi mayus-e-tajalli hi rahe us dar-e-yaar ki chilaman ko bahut yaad kiya