SONG: Aaj Nahi To Kal Bikharenge Ye Badal - आज नहीं तो कल बिखरेंगे ये बादल

Aaj Nahi To Kal Bikharenge Ye Badal - आज नहीं तो कल बिखरेंगे ये बादल

LYRICS:
aaj nahin to kal bikhrenge ye baadal o raat ke bhoole huye musaafir subah huyi ghar chal ab ghar chal re jod le phir se tooti mamta, baandh le prem ki dori zindgaani se door bhaagna hai mann ki kamzori ye sab dukh ke pal ek din jaayenge tal o raat ke bhoole huye musaafir subah huyi ghar chal ab ghar chal re dhadhhak raha sansaar hamaara dooba bhaagya sitaara kise pata hai, iske bheetar kya hai prabhu ka ishaara chinta chhod sakal har mushqil hogi sehal o raat ke bhoole huye musaafir subah huyi ghar chal ab ghar chal re jeewan ek sangraam hai jogi sankat se kya darna bhav-saagar mein bhanwar bichhi hain, hans hans paar utarna ab to zara sambhal tera jaayega bhaagya badal o raat ke bhoole huye musaafir subah huyi ghar chal ab ghar chal re aaj nahin to kal bikhrenge ye baadal o raat ke bhoole huye musaafir subah huyi ghar chal ab ghar chal re