SONG: Aaj Mujhe Kuchh Kahana Hai, Aaj Mujhe Kuchh Kahana Hai - आज मुझे कुछ कहना है ,आज मुझे कुछ कहना है

Aaj Mujhe Kuchh Kahana Hai, Aaj Mujhe Kuchh Kahana Hai - आज मुझे कुछ कहना है ,आज मुझे कुछ कहना है

LYRICS:
kashti ka khamosh safar hai, shaam bhi hai tanhayi bhi dur kinare par bajati hai laharo ki shahnayi bhi kashti ka khamosh safar hai, shaam bhi hai tanhayi bhi dur kinare par bajati hai laharo ki shahnayi bhi aaj mujhe kuchh kahna hai, aaj mujhe kuchh kahna hai lekin ye sharmili nigahe mujhko ijazat de to kahu khud meri betaab umange thodi fursat de to kahu aaj mujhe kuchh kahna hai, aaj mujhe kuchh kahna hai jo kuchh tumko kahna hai, vo mere hi dil ki baat na ho jo hai mere khwabo ki manzil us manzil ki baat na ho kahte huye dar sa lagta hai, kahakar baat na kho baithu ye jo zara sa saath mila hai, ye bhi saath na kho baithu kabse tumhaare raste pe mai phul bichhaaye baithi hu kah bhi chuko jo kahna hai mai aas lagaaye baithi hu dil ne dil ki baat samajh li, ab munh se kya kaha hai aaj nahi to kal kah lenge, ab to saath hi rahna hai kah bhi chuko, kah bhi chuko jo kahna hai chhodo ab kya kahna hai