SONG: Aaj Ki Raat Badi Shokh Badi Natkhat Hai (Male) - आज की रात बड़ी शोख़ बड़ी नटखट है

Aaj Ki Raat Badi Shokh Badi Natkhat Hai (Male) - आज की रात बड़ी शोख़ बड़ी नटखट है

LYRICS:
aaj ki raat badi shokh badi natkhat hai aaj to tere bina nind nahi aayegi ab to tere yaha aane ka ye mausam hai ab tabiyat naa khyaalo se bahal paayegi dekh wo chhat pe utar aayi hai saawan ki ghata de rahi dwaar pe khadi aawaaj purwaai bijali rah rah ke, pahado se chamak uthati hai suni aankho me koi khwaab le jo angadaai kaise samjhaau, kaise samjhaau kaise waqt ka matlab kya hai, dil ki hai baat ho dil ki hai baat naa hotho se kahi jaayegi aaj ki raat ye bhatkate huye jugnu ye deeye aawaara bhigate ped pe bujh bujh ke chamak uthate hai tere aanchal me take salme sitaare jaise mujhse milne ko bina baat damak uthate hai saara aalam saara aalam hai girftaar tere husn me jab mujhse hi kaise haaye mujhse hi kaise ye barsaat sahi jaayegi aaj ki raat raat raani ki ye bhini si nashili khushbu aa rahi hai ke jo chhan chhan ke ghani daalo se aisa lagta hai kisi dheet chakore se lipat khel aayi hai tere uljhe huye baalo se aur bejaan aur bejaan naa kar mere tadapte huye dil ko aisi rangin ho aisi ragin gajal aake naa phir jaayegi aaj to tere bina nind nahi aayegi aaj ki raat badi shokh badi natkhat hai