SONG: Aaj Ki Kaali Ghataa, Mast-Mast Aali Ghataa - आज की काली घटा, मस्त मतवाली घटा

Aaj Ki Kaali Ghataa, Mast-Mast Aali Ghataa - आज की काली घटा, मस्त मतवाली घटा

LYRICS:
aaj ki kaali ghata, mast matwali ghata aaj ki kaali ghata, mast matwali ghata mujhse kahti hain ki pyasa hain koi kaun pyasa hain, mujhe kya malum pyas ke naam se jee darta hain is iljaam se jee darta hain shauk-e-badnaam se jee darta hain mithi najro mein samaya hain koi kyu samaya hain, mujhe kya malum aaj ki kaali ghata, mast matwali ghata mujhse kahti hain ki pyasa hain koi kaun pyasa hain, mujhe kya malum pyasi aankho mein mohabbat leke ladkhada jane ki tagat leke mujhse bewajah shikayat leke dil ki dehleez tak aaya hain koi kaun aaya hain, mujhe kya malum kuch maja aane laga jeene mein jaag utha dard koi sine mein mere ehsaas ke aayine mein ik saya najar aata hain koi kiska sayaa hain, mujhe kya malum aaj ki kaali ghata, mast matwali ghata mujhse kahti hain ki pyasa hain koi kaun pyasa hain, mujhe kya malum zindagi pehle na thhi itni hasin aur agar thi to mujhe yaad nahi yahi afsana na ban jaye kahin kuch nigaho se sunata hain koi kya sunata hain, mujhe kya malum aaj ki kaali ghata, mast matwali ghata mujhse kahti hain ki pyasa hain koi kaun pyasa hain, mujhe kya malum