SONG: Aaj Hum Tumhein Sunanewaale Hain Ek Shahjaade Ki Kahaani - आज हम तुम्हें सुनानेवाले हैं एक शहजादे की कहानी

Aaj Hum Tumhein Sunanewaale Hain Ek Shahjaade Ki Kahaani - आज हम तुम्हें सुनानेवाले हैं एक शहजादे की कहानी

LYRICS:
aaj hum tumhe sunanewale hai ek shahjade ki kahani aaj hum tumhe sunanewale hai ek shahjade ki kahani aji aise jaal me fansa bichara yaad aa gayi nani aaj hum tumhe sunanewale hai ek shahjade ki kahani ha ha shahjade ki kahani rahti thi ek bholi ladki rajkumar ke sath ha ha rajkumar ke sath aji dono me tha mel bada hilmil karte the baat ha ha hilmil karte baat ae ji ladki man hi man me sochti banungi ek din rani aaj hum tumhe sunanewale hai ek shahjade ki kahani ha ha shahjade ki kahani aji rajkumar shikar ko nikla ek din kar taiyari ha ha ek din kar taiyari ae ji mili waha par use ek pariyo ki rajkumari ha ha pariyo ki rajkumari aji ghulmil gaye aapas me jaise ho pahchan purani aaj hum tumhe sunanewale hai ek shahjade ki kahani ha ha shahjade ki kahani kismat ka tha khel bichhad gayi pariyo ki shahjadi ha ha pariyo ki shahjadi are rajkumar ko karni padi bholi ladki se shadi ha ha us ladki se shadi ae ji sukhi na tha phir bhi thi usko jag ki reet nibhani aaj hum tumhe sunanewale hai ek shahjade ki kahani ha ha shahjade ki kahani aji jeet liya sewa se us ladki ne rajkumar ha ha ladki ne rajkumar ae ji bhul gaya pariyo ki shahjadi wo ek baar ha ha shahjadi ek baar aji aayi khushi mahal me ho gayi kaali raat suhani aaj hum tumhe sunanewale hai ek shahjade ki kahani ha ha shahjade ki kahani jind ko dhundhn pari aa gayi rajkumar se milne ha ha rajkumar se milne aur jane kya kya socha us din rajkumar ke dil ne ha ha rajkumar ke dil ne ae ji ab kya hoga kaun bataye kismat kisne jani aaj hum tumhe sunanewale hai ek shahjade ki kahani aji aise jaal me fansa bichara yaad aa gayi nani aaj hum tumhe sunanewale hai ek shahjade ki kahani ha ha shahjade ki kahani