SONG: Aaina Saamne Rakhoge To Yaad - आईना सामने रखोगे तो याद

Aaina Saamne Rakhoge To Yaad - आईना सामने रखोगे तो याद

LYRICS:
aaina saamane rakhoge to yaad aayunga apani zulfon ko sanwaaroge to yaad aayunga bhool jaana mujhe aasaan nahi hai itana jab mujhe bhoolana chaahoge to yaad aaunga ek din bheege the barsaat mein hum tum dono ab jo barsaat me bheegoge to yaad aayunga yaad aayunga udaasi ki jo rut aayegi jab koyi jashn manaaoge to yaad aayunga rang kaisa ho, ye sochege to yaad aaunga jab naya suit kharidoge to yaad aaunga dhyan har hal mein jayega meri hi janib tum jo pooja mein bhi baithoge to yaad aaunga chandni raat mein, phoolo ki suahani rut mein jab kabhi sair ko nikloge to yaad aaunga jin mein mil jate the ham tum kabhi aate jate jab bhi un galiyo se gujroge to yaad aaunga shailf mein rakhi hui apni kitabo mein se koi deewan uthaoge to yaad aaunga sham ki lau pe sar-e-sham sulagate jalte kisi parwane ko dekhonge to yaad aaunga jab kisi phul pe gash hoti hui bulbul ko sahan-e-guljar mein dekhoge to yaad aaunga