Aah Ko Chahiye Ik Umr Asar Hone Tak - आह को चाहिए इक उम्र असर होने तक
LYRICS:
aah ko chahiye ik umar asar hone tak
kaun jita hai teri julm ke sar hone tak
aashiki sabar-talab aur tamnna betab
dil ka kya rang karu khun-e-jigar hone tak
hamne mana ki tagaful na karoge lekin
khak ho jayenge ham tumko khabar hone tak
gam-e-hasti ka asad kis se ho juj marag ilaj
shama har rang mein jalti hai sahar hone tak